dil-e-muztar mujhe ek baat bata sakta hai tu kisi taur mujhe chhod ke ja sakta hai ye teri bhul hai main tere sabab zinda hun mujh sa ziddi to badan tod ke ja sakta hai jis ne is khak ke insan ko izzat di hai wahi is khak ko mitti mein mila sakta hai to mere sath to hai phir bhi mere sath nahin is se badh kar bhi mujhe koi sata sakta hai mere maula meri tanhai mitane ke liye mere jaisa hi tu ek aur bana sakta hai mujhe malum hai milna nahin mumkin lekin tu kisi raat mere khwab mein aa sakta hai meri ulfat ka sar-e-bazm tamasha kar ke aap apne ko tu itna bhi gira sakta hai zakhm-e-ulfat se nawaza tu mera mohsin hai tu meri zat pe ehsan jata sakta hai apne dilbar ke bulawe pe bahane kaise wo to mahbub hai jab chahe bula sakta hai wo jo rote ko hansane ka hunar rakhte hain gar wo roen to unhen kaun hansa sakta hai apni marzi se mujhe chhod ke jaane wala meri yaadon ko kabhi dil se mita sakta hai mujh ko jine se mohabbat na mohabbat ki hawas meri tarah koi jazbon ko sula sakta hai siyah-bakhti mein teri zat bhi shamil hai 'ali' tu kisi taur use dur hata sakta hai