aatish-e-ishq ne aisa hi jalaya mujh ko ki jahannum ne bhi munh dekh chhupaya mujh ko be-khabar kar diya kaunain se yaro pal mein gardish-e-chashm se jab jam pilaya mujh ko main kaha dil se ki kya tujh ko hua wo bola ek bazi mein in aankhon ne haraya mujh ko chashm us shokh ki shokhi ka bayan shokhi hai tarfat-ul-ain mein dil le ke khijaya mujh ko dil mein tha shauq ka izhaar-o-bayan sab kije lekin us chashm lajili ne lajaya mujh ko abr-e-baran ka bahut shor-o-shaghab dekha tha in pe us ashk ke tufan ne bahaya mujh ko lakht-e-dil bola 'ali' chashm ki taqsir rawa dar-e-mizhgan pe abas tu ne chadhaya mujh ko