umr bhar ki koshish-e-nakaam par hansta hun main us ke har aaghaz har anjam par hansta hun main ye bhi gardish mein hai saqi meri qismat ki tarah tere maikhane mein daur-e-jam par hansta hun main shadmani wasl ki ho ya ho furqat ka alam jo bhi mil jae usi inam par hansta hun main tohmaten mujh par hain kitni ai jamal-e-ru-e-dost aur mera dil ki har ilzam par hansta hun main din to kat jata hai 'akhtar' panw ke chakkar ke sath jo na pahunche subh tak us sham par hansta hun main