aawara aawara khushbu hum dono jaane kis din honge yaksu hum donon taza taza phulon ki rut kahti hai kar len kuchh tafrih lab-e-ju hum donon phir kya shai hai mane sath nibhane mein rakhte to hain yaksan khushbu hum donon main chalta hun dil par aql-o-hosh pe to jis ka tod nahin wo jadu hum donon apni apni pahchanon ke shaidai tariki mein udte jugnu hum donon takrae to tutenge mit jaenge apne aap pe rakkhen qabu hum donon rasmon ke bandhan se bazu khulte to aazadi se udte har-su hum donon us mein rah kar us se bachna mushkil hai duniya nawak afgan aahu hum donon taswiron ka album lao dekhen to kitne the khush-qamat khush-ru hum donon