aisa nahin koi ki shanasa kahen jise milta kahan hai koi hum apna kahen jise ek markaz-e-khayal hai duniya kahen jise koi nazar to aae ki tum sa kahen jise saya bhi bhagta hai jahan apni zat se wo hai sarab dasht-e-tamanna kahen jise zulf-e-daraaz ban ke ulajhti rahi mudam ek tar-e-ankabut hai duniya kahin jise 'mahir' wahi na kahte hain sab jis ko aadmi hain khubiyan hi kya ki hum achchha kahen jise