aawargi ne dil ki ajab kaam kar diya khwabon ko bojh nindon ko ilzam kar diya kuchh aansu apne pyar ki pahchan ban gae kuchh aansuon ne pyar ko bad-nam kar diya jis ko bachae rakhne mein ajdad bik gae hum ne usi haweli ko nilam kar diya dil ko bacha ke rakkha tha duniya se aaj tak le aaj hum ne ye bhi tere nam kar diya tum ne nazar jhuka ke jahan baat kat di hum ne wahin fasane ka anjam kar diya