aankhon se mohabbat ke ishaare nikal aae barsat ke mausam mein sitare nikal aae tha tujh se bichhad jaane ka ehsas magar ab jine ke liye aur sahaare nikal aae main ne to yunhi zikr-e-wafa chhed diya tha be-sakhta kyun ashk tumhaare nikal aae jab main ne safine mein tera nam liya hai tufan ki bahon se kinare nikal aae hum jaan to bacha late magar apna muqaddar is bhid mein kuchh dost hamare nikal aae jugnu inhen samjha tha magar kya kahun 'mansur' mutthi ko jo khola to sharare nikal aae