aawaz de raha hun khud apni qaza ko main kis taur dekhta hun teri chashm-e-wa ko main allah re husn-e-zauq-e-tamasha ki in dinon har waqt dekhta hun tere naqsh-e-pa ko main is kashmakash mein khatm hui rah-e-zindagi tere karam ko yaad karun ya jafa ko main hawi hai kaenat ki wusat par azm-e-dil ab justuju hai paun nae ek sama ko main kis ko khabar 'kiran' hai kahan manzil-e-hayat mushkil samajh raha hun abhi ibtida ko main