jab bhi gardish mein jam aaya hai

jab bhi gardish mein jam aaya hai
rifaton ka payam aaya hai

sar nigun ho rahe hain paimane
phir koi tishna-kaam aaya hai

zehn ne jab nawed-e-zist na di
dil-e-na-kaam kaam aaya hai

bhul kar bhi na aap ne puchha
kyon koi zer-e-dam aaya hai

log kahte hain chandni shab hai
kaun baala-e-baam aaya hai

bhar gaya zindagi ka paimana
aaj wo bhar ke jam laya hai

meri manzil hon chand aur tare
ye to sauda-e-kham aaya hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close