aawegi meri qabr se aawaz mere baad ubhrenge ishq-e-dil se tere raaz mere baad jina mera to tujh ko ghanimat hai na-samajh khinga kaun phir ye tere naz mere baad sham-e-mazar aur ye soz-e-jigar mera har shab karenge zindagi na-saz mere baad hasrat hai is ke dekhne ki dil mein be-qayas aghlab ki meri aankhen rahen baz mere baad karta hun main jo nale sar-anjam bagh mein munh dekho phir karenge hum aawaz mere baad bin gul mua hi main to pa tu ja ke lautiyo sehn-e-chaman mein ai par-e-parwaz mere baad baitha hun 'mir' marne ko apne mein mustaid paida na honge mujh se bhi jaanbaz mere baad