main yahan shor kis liye karta dhar liya jaunga ye imkan tha dekhiye rukh hawa ka kab thahre aa gaya le ke wo diya jalta ped paude to khauf khate hain ghas par us ka bas nahin chalta ud gaya aakhirash main kamre se kab tilak jite-ji yahan marta mere andar jo dhundhta tha mujhe us se kat kar main mil chuka kab ka khwab de kar ye phul laya hun kahiye mahnga mila hai ya sasta id ka din to hai magar 'jafar' main akele to hans nahin sakta