aaya basant phul bhi shoalon mein dhal gae main chumne laga to mere hont jal gae lapka mere khayal ka kaunda kuchh is tarah chaaron taraf jo lafz pade the pighal gae rangon ke ehtimam mein surat bigad gai lafzon ki dhan mein hath se mani nikal gae jhonke nai ruton ke jo guzre qarib se bite dinon ki dhul mere munh pe mal gae sar par hamare dhup ki chadar si tan gai ghar se chale to shahr ke manzar badal gae