hamein bhula nahin afsana dil ka abhi hathon mein hai paimana dil ka dhuan uthta nazar aata hai har-su abhi aabaad hai virana dil ka jahan bikhri hai ab khakistar-e-dil usi ja tha kabhi kashana dil ka abhi tak yaad hain wo din ki jab tha har ek aawara gham diwana dil ka wo ummidon ka ek halka tabassum dhadak uthna wo betabana dil ka kisi aansu ki gham hoti sada par larazna dubna ghabrana dil ka gham-e-dauran gham-e-jaanan gham-e-jaan har ek manzil pe tha nazrana dil ka khile jate the gul har har qadam par kahin bhi qafila thahra na dil ka tilism-e-rang-o-bu tha tutne tak thikana phir na tha gul ka na dil ka udhar arman idhar ehsas-e-hirman chhuta kis mod par yarana dil ka hamein baada-kash-e-dard-e-tamanna hamin par band hai mai-khana dil ka