aaya hai subh nind sun uTh rasmasa hua

aaya hai subh nind sun uth rasmasa hua
jama gale mein raat ke phulon basa hua

kam mat gino ye bakht-siyahon ka rang-e-zard
sona wahi jo howe kasauti kasa hua

andaz sin ziyaada nipat naz khush nahin
jo khal had se ziyaada badha so masa hua

qamat ka sab jagat munin baala hua hai nam
qad is qadar buland tumhaara rasa hua

zahid ke qadd-e-kham kun musawwir ne jab likha
tab click hath bich jo tha so asa hua

dil yun dare hai zulf ka mara wo phunk sin
rassi sin azhdahe ka dare jun dasa hua

ai 'abru' awal sen samajh pech ishq ka
phir zulf sin nikal na sake dil phansa hua


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close