agar ankhiyon sin ankhiyon ko milaoge to kya hoga nazar kar lutf ki hum kun jalaoge to kya hoga tumhaare lab ki surkhi lal ki manind asli hai agar tum pan ai pyare na khaoge to kya hoga mohabbat sin kahta hun taur bad-nami ka behtar nahin agar khandon ki sohbat mein na jaoge to kya hoga tumhaare shauq mein hun jaan-ba-lab ek umr guzri hai agar ek dam kun aa kar mukh dikhaoge to kya hoga mera dil mil raha hai tum sun pyare baatini milna agar hum pas zahir mein na aaoge to kya hoga jagat ke log sare 'abru' kun pyar karte hain agar tum bhi gale is kun lagaoge to kya hoga