aaya hai waqt dost tere imtihan ka

aaya hai waqt dost tere imtihan ka
rakhna tu pas apne diye har bayan ka

mehman ban ke aaya tha wo ek sham ko
malum hai pata use mere makan ka

wade pe apne wo kabhi qaem nahin raha
lagta hai mujh ko jhuta wo sare jahan ka

karte hain eatibar zamane ke log bhi
mitha hai wo jahan mein to apni zaban ka

dekha jo tera chehra mujhe pyar ho gaya
aashiq hua hun main tere til ke nishan ka

tujh ko nahin yaqin meri har baat par sanam
ab kya karun main tere bata har guman ka


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close