aaya hun tere pas mere yar dur se dekha hai main ne saya-e-diwar dur se nazdik aa ke dekha to aasan thi wo rah mujh ko dikhai di thi jo dushwar dur se andar se ja ke dekha to khush-kun makan tha lagta tha dekhne mein pur-asrar dur se us tak rasai is qadar aasan to na thi laya hun us ko kar ke giraftar dur se nazdik se nazar nahin aata kisi tarah pura dikhai deta hai kohsar dur se lekin hai kis tarah se moattar masham-e-jaan guzri thi mere yar ki mahkar dur se ab phone par hi karta hun main us se guftugu ab chumta hun wo lab-o-rukhsar dur se hanste hain mujh ko dekh ke ashjar aur tuyur ab dekhta hun wo gul-o-gulzar dur se