aaya kabhi khayal to dil se lipat gaya kaise sama ke phir koi jiwan se hat gaya purwa chali thi ganth ko aanchal se bandhne daman ghata ka hath mein aate hi phat gaya baithe hain sham odh ke tanhaiyon mein hum ek hans apni dar se jaise ho kat gaya badla nagar ne badh ka munh apni samt se nadiya mein bah ke ganw ka chhota sa tat gaya jhonka sa tha kya chulbula pariyon ke desh ka barson ki sadhna ka wo aasan ulat gaya bhule se aaya megh kabhi dhup ke nagar man-mor nachne se wo pahle hi chhat gaya talwaren mandiron se nikal kar jhapat padin sadiyon purana sar ka chamakta mukat gaya