is ke aage pyar ke jazbon ki aaraish na kar zard registan mein phulon ki afzaish na kar ye to ho sakta hai ki donon ki manzil ek ho phir bhi us ke ham-safar hone ki farmaish na kar munhasir us par bhi hai wo pas aae ya na aae ai mere dil qurbaton ki mujh se farmaish na kar hum ne mana chand sa raushan tera mahbub hai tu magar us chand ki lafzon se paimaish na kar khud pe jo nazan hai 'anwar' teri chahat par nahin us pari-paikar ke aage dil ki zebaish na kar