aaya na aab-e-rafta kabhi juebar mein kaise qarar aae dil-e-be-qarar mein hangam-e-subh-e-id mein bhi wo maza kahan jo lutf mil gaya hai shab-e-intizar mein bijli giri thi kab ye kisi ko khabar nahin ab tak chaman mein aag lagi hai bahaar mein jab tak bikhar na jae teri zulf-e-ambarin nikhat kahan se aae nasim-e-bahaar mein fursat mili hai dil ko nasheman ki fikr se phir barq kundne lagi har shakh-sar mein phir kis ki yaad aai ki 'anwar' aaj-kal moti piro raha hun gareban ke haar mein