aana bhi aane wale ka afsana ho gaya

aana bhi aane wale ka afsana ho gaya
dushman ke kahne sunne se kya kya na ho gaya

kya faizyab sohbat-e-rindana ho gaya
dam-bhar mein shaikh saqi-e-mai-khana ho gaya

sunte hain band phir dar-e-mai-khana ho gaya
dur ayagh-o-shaghl-e-mul afsana ho gaya

milne ke baad baith raha pher kar nigah
zalim yagana hote hi begana ho gaya

apnon se bhi ziyaada jo paya niyaz-mand
wo be-niyaz aur bhi begana ho gaya

na-ashna raha to yagana bana raha
hote hi aashna koi begana ho gaya

mana ki muddai se koi muddaa na tha
phir kya sabab tha tark jo yarana ho gaya

kis tarah apni khana-kharabi ayan kare
wo dil jo parde walon ka kashana ho gaya

aane ka wada kar ke wo hanste hue chale
malum abhi se lutf-e-qadimana ho gaya

jaan is dilawari se tere manchale ne di
maqtal mein shor-e-himmat-e-mardana ho gaya

phir bhi sawal-e-wasl ka mauqa nahin mila
sau bar go kalam-e-kalimana ho gaya

wo dil-jala tha main ki teri sham-e-husn par
jal kar nisar surat-e-parwana ho gaya

majnun jo ban gaya kisi laila-ada ka main
phir kya tha najd khud mera virana ho gaya

gesu banae jaiye aap apne shauq se
ho jaane dijiye jo main diwana ho gaya

pi li 'hijab' hath hi se aaj main ne mai
chullu mera mere liye paimana ho gaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close