aaya na rah par wo sitamgar kisi tarah

aaya na rah par wo sitamgar kisi tarah
sidha hua na apna muqaddar kisi tarah

sar phodiye ki khinchiye nale firaq mein
hoga na wasl-e-yar mayassar kisi tarah

qatil ne koshishen to hazaron hi kin magar
nikla na dam mera tah-e-khanjar kisi tarah

badla len un buton se sitam ka to khub ho
sun le hamari dawar-e-mahshar kisi tarah

wahshat ne lakh lakh ubhaara hamein magar
chhoda na hum ne kucha-e-dilbar kisi tarah

minnat bhi ki khushamaden bhi kin hazar bar
aaya na mere ghar wo sitamgar kisi tarah

'shabnam' wahi hai us ki kachawat abhi talak
badle na hum ne yar ke tewar kisi tarah


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close