aazad us se hain ki bayaban hi kyun na ho phadenge jeb gosha-e-zindan hi kyun na ho ho shughl koi ji ke bahalne ke waste rahat-faza hai nala o fughan hi kyun na ho sauda-e-zulf-e-yar se baz aaenge na hum majmu-e-hawas pareshan hi kyun na ho ehsan-e-tir-e-yar ada ho sakega kya jaan apni nazr-e-lazzat-e-paikan hi kyun na ho jite rahenge wada-e-sabr-azma pe hum umr apni misl-e-waqt-e-gurezan hi kyun na ho 'wahshat' ruken na hath sar-e-hashr dekhna us fitna-khu ka gosha-e-daman hi kyun na ho