aankh mein jalwa tera dil mein teri yaad rahe ye mayassar ho to phir kyun koi nashad rahe is zamane mein khamoshi se nikalta nahin kaam nala pur-shor ho aur zoron pe fariyaad rahe dard ka kuchh to ho ehsas dil-e-insan mein sakht nashad hai daim jo yahan shad rahe ai tere dam-e-mohabbat ke dil o jaan sadqe shukr hai qaid-e-alaiq se hum aazad rahe nala aisa ho ki ho us pe guman-e-naghma rahe is tarah agar shikwa-e-bedad rahe har taraf dam bichhae hain hawas ne kya kya kya ye mumkin hai yahan koi dil aazad rahe jab ye aalam ho ki mandlati ho har samt ko barq kyun koi nauhagar-e-khirman-e-barbaad rahe ab tasawwur mein kahan shakl-e-tamanna 'wahshat' jis ko muddat se na dekha ho wo kya yaad rahe