aazada-manish rah duniya mein parwa-e-ummid-o-bim na kar jab tak na milen fitrat ke qadam kham dekh sar-e-taslim na kar sine mein hai us ke soz agar shaitan ke qadam le aankhon par begana-e-dard-e-dil hai agar jibril ki bhi tazim na kar kitni hi shuaen abr mein hon khurshid-e-junun par iman la kitne hi dalael raushan hon danish ko kabhi taslim na kar sanchon mein barabar dhalta ja raftar-e-jahan se pher na munh tansikh to kya is daftar mein jina hai to kuchh tarmim na kar ai 'josh' hujum-e-kulfat mein fariyaad o fughan se kaam na le ghat jaega is se dil ka asar ajza-e-tapish taqsim na kar