aish ki jaanib jo mail kuchh tabiat ho gai dil pe ghussa aa gaya apne se nafrat ho gai mujh ko khud apni tabahi par taras aata nahin khugar-e-gham is qadar ab to tabiat ho gai aai jab stage par duniya to dil khush ho gaya jab utha anjam ka parda to nafrat ho gai aa gain jumbish mein taslim-o-raza ki quwwaten lab mile hi the pae shikwa ki aafat ho gai istilah-e-bandagi mein ruh hain taron ki 'josh' chand zarre jin se peshani ki zinat ho gai