aazadi mein rahne wale dekho kaise rahte hain apne sae se darte hain chaunke chaunke rahte hain hare-bhare pedon ke upar jin ke thor thikane the ab wo panchhi shor-e-zamin par dhup mein jalte rahte hain takraate rahte hain aksar patthar jaise logon se hum dil wale kirchi kirchi aaine se rahte hain gahrai se moti lane walon ka ye haal hua sahil ki aaghosh mein baithe lahren ginte rahte hain lau ki zad mein rahne walo un ki or na dekho tum baadal ki hamrahi mein jo aksar bhige rahte hain aakhir aakhir khud bhi zakhmi ho kar hote hain bad-haal awwal awwal zakhmon ke saudagar achchhe rahte hain kaise kaise maile ho kar wapas aate hain 'mahir' log nikalte hain jab ghar se ujle ujle rahte hain