dagh-e-dil apna kisi tarah dikhae na bane aur chahun jo chhupana to chhupae na bane daman-e-dil mein wo jab chahen laga den ek aag hum agar chahen bujhana to bujhae na bane tum ko manzur nahin apne taghaful se gurez hum pe ban aai hai aisi ki banae na bane uf re ye tira-nasibi ye andhere ka farogh dip aankhon ka jalaun to jalae na bane hae ye fitrat-e-husn uf wo mizaj-e-nazuk naz uthana bhi jo chahun to uthae na bane soch ke dijiye diwane ko daman ki hawa ye bhi mumkin hai ki phir hosh mein aae na bane naz hai taqat-e-guftar pe 'mahir' ko magar dil pe guzri hai kuchh aisi ki sunae na bane