aazar hi ab koi makanon pe girega lagta hai ki ye bar bhi shanon pe girega is bar koi tir kamanon mein nahin hai is bar magar jism nishanon pe girega ek chikh se gunjengi kai aur bhi sadiyan aawaz ka patthar hai zamanon pe girega sab dekhte rah jaenge ye tir-ba-kaf log jab ja ke parinda ye chatanon pe girega ek shakhs jo khwabon mein bhi sae ki tarah hai kab harf-e-yaqin ban ke gumanon pe girega hum khema-e-ashjar se guzrenge bahar-kaif gham surat-e-barfab machanon pe girega jab tak ki takallum mein nahin taqat-e-guftar kya harf-e-talab koi zabanon pe girega khwah auj-e-falak tak hi chala jae ye suraj thak kar isi dharti ke dahanon pe girega tum phul barasne ki 'kafil' aas to rakhna kya sang sada aaina-khanon pe girega