barg aur tarah ke hain samar aur tarah ke is bar hain gulshan ke shajar aur tarah ke har chand wahi kuza-gari hai sar-e-bazar darkar hain ab dast-e-hunar aur tarah ke aasan nahin ab bhi tera jada-e-dushwar darpesh hain ab hum ko safar aur tarah ke wo log jo chalte hain rah-e-am se mutazad milte hain unhen rahguzar aur tarah ke uftad mein yaksan nahin patal kisi ki hain sab ke liye us ke bhanwar aur tarah ke aaghaz mein kuchh aur thi anjam ki ummid aasar hain ab pesh-e-nazar aur tarah ke taqwim-e-tahayyur mein 'kafil' aa to gae hum gardish mein hain ab sham-o-sahar aur tarah ke