aazar mere dil ka dil-azar na ho jae jo karb nihan hai wo numudar na ho jae aawaz bhi deti hai ki uth jag mere lal darti bhi hai bachcha kahin bedar na ho jae jab tak main pahunchta hun kadi dhup mein chal kar diwar ka saya pas-e-diwar na ho jae parda na sarak jae kahin ai dil-e-betab wo parda-nashin aur pur-asrar na ho jae badhta chala jata hai zamane se talluq ye silsila zanjir-e-giran-bar na ho jae aaram se rahta hi nahin banda-e-be-dam jab tak kisi mushkil mein giraftar na ho jae