aa hijr ka dar nikalte hain raste se safar nikalte hain ab aankhen nahin nikali jatin aankhon se nazar nikalte hain pedon mein rah ke bhi parinde patte nahin par nikalte hain afsos ke ghota-zan hamare ujrat pe guhar nikalte hain pattharon mein kahin to hai wo surat jo ahl-e-hunar nikalte hain