'azar' raha hai tesha mere khandan mein paikar dikhai dete hain mujh ko chatan mein sab apne apne taq mein tharra ke rah gae kuchh to kaha hawa ne charaghon ke kan mein main apni justuju mein yahan tak pahunch gaya ab aaina hi rah gaya hai darmiyan mein manzar bhatak rahe the dar-o-baam ke qarib main so raha tha khwab ke pichhle makan mein lazzat mili hai mujh ko aziyyat mein is liye ehsas khinchna tha badan ki kaman mein nikli nahin hai dil se mere bad-dua kabhi rakkhe khuda adu ko bhi apni aman mein 'azar' usi ko log na kahte hon aaftab ek dagh sa chamakta hai jo aasman mein