koi achchhi si ghazal kanon mein mere ghol de qaid-e-tanhai mein hun main mujh ko aa kar khol de ye tanaw jism ka badhne nahin dega tujhe chust pairahan mein tu apne zara sa jhol de ek ladki jal rahi hai chilchilati dhup mein koi baadal aa ke us par apni chhatri khol de rah takte jism ki majlis mein sadiyan ho gain jhank kar andhe kunen mein ab to koi bol de main kharidar-e-wafa hun tu giraftar-e-wafa meri banhon mein thirakta jism apna tol de der tak banjara kal koi sada deta raha kaun hai bazar mein jo jins-e-dil ka mol de jaane kab se faisla qismat ka sunne ke liye muntazir baitha hun main tu apni mutthi khol de sher achchhe hon to be-gae bhi mil jati hai dad tu khudara lahn ke hathon mein mat kashkol de