aazurda-e-KHayal hun aashufta-haal hun

aazurda-e-khayal hun aashufta-haal hun
barbaadiyon ki aap main apni misal hun

ai barq aa ki ab mera jina muhaal hai
pyasi zamin pe sukhe shajar ki main dal hun

sab chhod mujh ko chal diye ahbab-e-khush-khayal
baqi main ek surat-e-huzn-o-malal hun

viraniyon ke aks ka dikhlae jo jamal
main wo kamal-e-aina-e-dasht-haal hun

aankhon se meri dur raha khwab bhi 'shafiq'
hasrat ki shab hun dard ki subhon ka jal hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close