main yun hayat ki wadi-e-pur-KHatar mein raha

main yun hayat ki wadi-e-pur-khatar mein raha
charagh jaise koi aandhiyon ke ghar mein raha

tamam khauf-o-tahayyur ke baam-o-dar mein raha
main ajnabi ki tarah khud hi apne ghar mein raha

na kuchh dawa mein na kuchh dast-e-chaara-gar mein raha
nazar ke zakhm ka marham isi nazar mein raha

hisar-e-zat se bahar kabhi nikal na saka
misal-e-ab-e-guhar main sada guhar mein raha

pasand aaya na daman-e-reg-zar-e-karam
main ashk ban ke bhi apni hi chashm-e-tar mein raha

main us ki dost-nawazi se khub waqif hun
azal se waqt ke hamrah main safar mein raha

na dushmani na adawat na dosti na khulus
siwae sud-o-ziyan kya hai ab bashar mein raha

na jaane kaun si manzil ki justuju hai mujhe
hamesha pa-e-talab mera rahguzar mein raha

usi se gulshan-e-hasti mahak utha hai 'shafiq'
jo khar marg-e-azal se dil-e-bashar mein raha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close