aazurdagi ka us ki zara mujh ko pas tha main warna aaj us se zyaada udas tha suraj nahin tha dur sawa neze se magar meri ana ka saya mere aas pas tha ab aa ke so gaya hai samundar ki god mein dariya mein warna shor hi us ki asas tha ruhen uthin gale milin wapas chali gain is raaz ke chhupane ko tan par libas tha padh kar jise ubharne lagen an-ginat sawal aise hi ek fasane ka wo iqtibas tha ab aa ke barf pighli hai kuchh e'tiqad ki jis ko yaqin samajhte rahe hum qayas tha