ajab mamul hai aawargi ka gareban jhankti hai har gali ka na jaane kis tarah kaise khuda ne bharosa kar liya tha aadmi ka abhi is waqt hai jo kuchh hai warna koi lamha nahin maujudgi ka mujhe tum se bichhadne ke ewaz mein wasila mil gaya hai shairi ka zamin hai raqs mein suraj ki jaanib chhupa kar jism aadha tirgi ka main ek hi sath par thahrunga kaise utarta chadhta pani hun nadi ka main mitti gundh kar ye sochta hun mujhe fan aa gaya kuza-gari ka khatak jaunga sofe ko tumhaare main banda baithne wala dari ka main us manzar mein paya hi gaya kab jahan bhi zawiya nikla khushi ka samundar jis ki aankhon ka ho khali wo kaise khwab dekhe jal-pari ka nikalo kil ko diwar mein se wagarna tang lo photo kisi ka