ab aankh bhi mashshaq hui zer-o-zabar ki khwahish to teri ghat ki rah pai na ghar ki rang apne jo the bhar bhi kahan pae kabhi hum hum ne to sada radd-e-amal mein hi basar ki jab sirf tere gul mein mera hissa nazar hai phir soch hai kya dard ye takhir nazar ki ye kufe ki galiyan hain ki ye meri ragen bhi har samt se chubhti hai ani mujh ko shimar ki