ghubar-e-jaan pas-e-diwar-o-dar sameta hai dayar-e-sang mein shishe ka ghar sameta hai samundaron mein bhi suraj ne bo diye hain sarab gae the sip uthane bhanwar sameta hai saubaton ki koi had na aakhiri dekhi har ek rah mein zad-e-safar sameta hai mohabbaton ne diya hai sadaqaton ka shuur bikhar gaya hai jab ek bar ghar sameta hai hawa ke sath safar mein qabahaten thin bahut misal-e-abr bikharta nagar sameta hai andheri raat mein suraj ki justuju ki hai hawaon mein bhi charagh-e-nazar sameta hai jo shakh shakh parindon ka aashiyana tha wo barg barg purana shajar sameta hai numu ke rab kabhi us munsifi ki dad to de shajar koi na lagaya samar sameta hai