ab aankhon mein khun dam-ba-dam dekhte hain na puchho jo kuchh rang hum dekhte hain jo be-akhtyari yahi hai to qasid hamin aa ke us ke qadam dekhte hain gahe dagh rahta hai dil ga jigar khun un aankhon se kya kya sitam dekhte hain agar jaan aankhon mein us bin hai to hum abhi aur bhi koi dam dekhte hain likhen haal kya us ko hairat se hum to gahe kaghaz o gah qalam dekhte hain wafa-peshgi qais tak thi bhi kuchh kuchh ab us taur ke log kam dekhte hain kahan tak bhala rooge 'mir'-sahib ab aankhon ke gird ek waram dekhte hain