mohabbaton ki inayaton se hua hai dil ye kharab baba khuda-parasti ka taur dekho bana hai kaisa azab baba jhulas raha hai zamin ka sina kiran kiran se dua karo tum trawaton ki do bund le kar yahan bhi barse sahab baba hai faqa-masti ka silsila jab to aae sakhti qadam mein kaise ye na-tawani ki larzishen hain na pi hai main ne sharab baba faza ki jab mo'atabar matanat gurez-pa ho ke rah gai hai kahan likhega wo khamushi se sawal padh kar jawab baba hazar taftish par mujhe ab pata chala hai ki mere dil ko bahut hi bechain kar gaya tha sahar se shab ka hijab baba tarah tarah se tabassumon mein lapet kar khwahishon ne luta kise chhupaun kahan se bolun batao mujh ko wo khwab baba murawwaton ki masarraton ki kahaniyan darj ki gai thin jagah jagah se phati padi hai na kholo ab wo kitab baba saubaton ki afadiyat se koi bhi munkir na ho sakega ki khar ke darmiyan rah kar mahak raha hai gulab baba wo sath-basath ki sidhiyon par thakawaton se hai chur phir bhi samet kar hauslon ko 'jafar' talashta hai shabab baba