ab aap kah rahe hain ki chehra udas hai main ne suna tha aap ka kamra udas hai gardan hai khud-kushi ke bahane talashti har roz mujh se kahti hai pankha udas hai barish mein bhigti hui ladki ko kya khabar footpath par pada hua chhata udas hai koi na dekh paya to bola nahin koi gunga hai bad-guman to andha udas hai patri pe let jaunga sarwat nahin hun main par jaanta hun rail ka pahiya udas hai bargad ki shakh tod di aandhi ne pichhli raat is waste to ganw ka budha udas hai