ishq pagal kar gaya to kya karoge soch lo

ishq pagal kar gaya to kya karoge soch lo
saneha aisa hua to kya karoge soch lo

sath us ke har qadam chalne ki aadat kis liye
chhod kar wo chal diya to kya karoge soch lo

shor bahar hai abhi is waste khamosh ho
shor andar se utha to kya karoge soch lo

kar rahe ho ghar naya tamir udti ret par
ye achanak gir gaya to kya karoge soch lo

laut kar jaana to hai aakhir sabhi ko us taraf
sau baras bhi ji liya to kya karoge soch lo

dhadkanen maddham hui jati hain ai chaaragaro
chaak dil ka sil gaya to kya karoge soch lo

band palkon mein adhure khwab bante ho magar
koi in mein aa basa to kya karoge soch lo

dar dariche sab muqaffal kar ke baithe ho magar
wo achanak aa gaya to kya karoge soch lo

dubte suraj ka chehra aur us ka naqsh-e-pa
jab ye manzar gum hua to kya karoge soch lo


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close