ab agar ishq ke aasar nahin badlenge hum bhi pairaya-e-izhaar nahin badlenge raste khud hi badal jaen to badlen warna chalne wale kabhi raftar nahin badlenge dur tak hai wahi aaseb ka pahra ab bhi kya mere shahr ke atwar nahin badlenge main samajhta hun sitare jo sahar se pahle bujhne wale hain shab-e-tar nahin badlenge gul badal jaenge jab mausam-e-gul bichhdega jab khizan jaegi to khar nahin badlenge log badlenge mafahim musalsal 'aghaz' aur ye sach hai mere ashaar nahin badlenge