bahaar aai hai phir chaman mein nasim ithla ke chal rahi hai har ek ghuncha chatak raha hai gulon ki rangat badal rahi hai wo aa gae lo wo ji utha main adu ki ummid-e-yas thahri ajab tamasha hai dil-lagi hai qaza khadi hath mal rahi hai batao dil dun na dun kaho to ajib nazuk moamla hai idhar to dekho nazar milao ye kis ki shokhi machal rahi hai tadap raha hun yahan main tanha wahan adu se wo ham-baghal hain kisi ke dam par bani hui hai kisi ki hasrat nikal rahi hai ghata wo chhai wo abr uttha yahi to hai waqt mai-kashi ka bulao 'shair' ko hai kahan wo sharab shishe se dhal rahi hai