ab ahl-e-dard ye jine ka ehtimam karen use bhula ke gham-e-zindagi ka nam karen fareb kha ke un aankhon ka kab talak ai dil sharab-e-kham piyen raqs-e-na-tamam karen gham-e-hayat ne aawara kar diya warna thi aarzu ki tere dar pe subh o sham karen na mangun baada-e-gul-gun se bhik masti ki agar tere lab-e-lalin mera ye kaam karen na dekhen dair o haram su-e-rah-rawan-e-hayat ye qafile to na jaane kahan qayam karen hain is kashakash-e-paiham mein zindagi ke maze phir ek bar koi sai-e-na-tamam karen sikhaen dast-e-talab ko ada-e-bebaki payam-e-zer-labi ko sala-e-am karen ghulam rah chuke toden ye band-e-ruswai kuchh apne bazu-e-mehnat ka ehtiram karen zamin ko mil ke sanwaren misal-e-ru-e-nigar rukh-e-nigar se raushan charagh-e-baam karen phir uth ke garm karen karobar-e-zulf-o-junun phir apne sath use bhi asir-e-dam karen meri nigah mein hai arz-e-moscow 'majruh' wo sarzamin ki sitare jise salam karen