lazzat-e-dard-e-jigar yaad aai phir teri pahli nazar yaad aai dard ne jab koi karwat badli zindagi bar-e-digar yaad aai pad gai jab tere daman pe nazar azmat-e-dida-e-tar yaad aai apna khoya hua dil yaad aaya un ki makhmur nazar yaad aai dair o kaba se jo ho kar guzre dost ki rahguzar yaad aai dekh kar us rukh-e-zeba pe naqab apni gustakh nazar yaad aai jab bhi tamir-e-nasheman ki 'qamar' yurish-e-barq-o-sharar yaad aai