ab ai be-dard kya is ke liye irshad hota hai phir apni khak se paida dil-e-barbaad hota hai tasawwur jab anis-e-khatir-e-nashad hota hai jahan-e-dil teri taswir se aabaad hota hai asiran-e-wafa ghabraen kyun tajwiz-e-zindan se yahin to imtihan-e-fitrat-e-azad hota hai jagah milti nahin jis ko shab-e-gham mahshar-e-dil mein wo hangama lab-e-khamosh mein aabaad hota hai bahaar aai hai istiqbaal karne bab-e-zindan tak nahin malum 'simab' aaj kaun aazad hota hai