fusun-zada hain hawaen manzar tamam mashur chup pade hain siyah nairang nim-shab ka sitare jhuk jhuk ke dekhte hain sahar ki lau mein jala rahi hai saba kanwal rang-o-bu mein tar hain darakht sare sajae moti ki thaaliyan saf-ba-saf khade hain hazar raaten guzar gain ek hamare hi gham ki shab na guzri ujale khaif siyah-kade se badal ke rasta nikal rahe hain dhadakte dil jaisi saaton wale roz-o-shab ab kahan se laen gire hue khushk mausamon mein na jaane kab ke wo kho chuke hain is ek hi zindagi mein kitne janam liye bar bar hum ne aur ab ye roz jaan de de ke kyun jiye baithe sochte hain haqiqaten yun nahin badaltin ba-khubi malum hai hamein bhi farar hone ko khud se kuchh khwab-zar phir bhi bana liye hain khud apni khwahish pe jaan dene ka nam rakkha hai ishq-o-ulfat hua hawas mein ye khud-farebi ke jal kya dil-nashin bune hain